Tuesday, November 20, 2012

kahii.n to kaaravaan-e-dard kii ma.nzil Thahar jaaye

kahii.n to kaaravaan-e-dard kii ma.nzil Thahar jaaye
Faiz Ahmed Faiz
kahii.n to kaaravaan-e-dard kii ma.nzil Thahar jaaye
kinaare aa lage umr-e-ravaa.N yaa dil Thahar jaaye
amaa.N kaisii ki mauj-e-Khuu.N abhii sar se nahii.n guzarii
guzar jaaye to shaayad baazuu-e-qaatil Thahar jaaye
ko_ii dam baadabaan-e-kashtii-e-sahabaa ko tah rakho
zaraa Thaharo Gubaar-e-Khaatir-e-mahafil Thahar jaaye
hamaarii Khamoshii bas dil se lab tak ek vaqfaa hai
ye tuufaa.N hai jo pal bhar bas lab-e-saahil Thahar jaaye
nigaah-e-mu.ntazir kab tak karegii aa_iinaaba.ndii
kahii.n to dasht-e-Gam me.n yaar kaa mahamil Thahar jaaye

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...