Showing posts with label Allama Iqbal. Show all posts
Showing posts with label Allama Iqbal. Show all posts

Sunday, March 3, 2013

saKhtiyaa.N karataa huu.N dil par Gair se Gaafil huu.N mai.n

saKhtiyaa.N karataa huu.N dil par Gair se Gaafil huu.N mai.n Sir Mohammed Iqbal
 saKhtiyaa.N karataa huu.N dil par Gair se Gaafil huu.N mai.n
haay kyaa achchhii kahii zaalim huu.N mai.n jaahil huu.N mai.n [Gaafil=unaware/inattentive; zaalim=tyrant; jaahil=illiterate] ** Gaafil also means negligent/careless as used in the next sher** hai merii zillat hii kuchh merii sharaafat kii daliil
jis kii Gafalat ko malak rote hai.n vo Gaafil huu.N mai.n [zillat=insult; Gafalat=carelessness/negligence]
[malak=angel; Gaafil=one who is negligent] bazm-e-hastii apanii aaraa_ish pe tuu naazaa.N na ho
tuu to ik tasviir hai mahafil kii aur mahafil huu.N mai.n [aaraa_ish=decoration; naazaa.N=proud/arrogant] Dhuu.NDhataa phirataa huu.N ai "Iqbal" apane aap ko
aap hii goyaa musaafir aap hii ma.nzil huu.N mai.n [goyaa=as if]

sitaaro.n se aage jahaa.N aur bhii hai.n

sitaaro.n se aage jahaa.N aur bhii hai.n Allama Iqbal  sitaaro.n se aage jahaa.N aur bhii hai.n
abhii ishq ke imtihaa.N aur bhii hai.n
taahii zindagii se nahii.n ye fazaaye.n
yahaa.N saika.Do.n kaaravaa.N aur bhii hai.n
kanaa'at na kar aalam-e-rang-o-bu par
chaman aur bhii, aashiyaa.N aur bhii hai.n
agar kho gayaa ek nasheman to kyaa Gam
maqaamaat-e-aah-o-fugaa.N aur bhii hai.n
tuu shahii.n hai parwaaz hai kaam teraa
tere saamane aasmaa.N aur bhii hai.n
isii roz-o-shab me.n ulajh kar na rah jaa
ke tere zamiin-o-makaa.N aur bhii hai.n
gae din kii tanhaa thaa mai.n a.njuman me.n
yahaa.N ab mere raazadaa.N aur bhii hai.n

tere ishq kii intahaa chaahataa huu.N

tere ishq kii intahaa chaahataa huu.N Sir Mohammed Iqbal
tere ishq kii intahaa chaahataa huu.N
merii saadagii dekh kyaa chaahataa huu.N
[intahaa=limit; saadagii=simplicity]
sitam ho ki ho vaadaa-e-behijaabii
ko_ii baat sabr-aazamaa chaahataa huu.N
[vaadaa-e-behijaabii=promise to be unveiled]
[sabr-aazamaa=testing the patience]
ye jannat mubaarak rahe zaahido.n ko
ki mai.n aap kaa saamanaa chaahataa huu.N
[jannat=heaven; zaahid=a person belonging to a higher plane of existence]
ko_ii dam kaa mehamaa.N huu.N ai ahal-e-mahafil
chiraaG-e-sahar huu.N, bujhaa chaahataa huu.N
[ahal-e-mahafil=people present at the gathering]
[chiraaG-e-sahar=light of dawn]
bharii bazm me.n raaz kii baat kah dii
ba.Daa be-adab huu.N, sazaa chaahataa huu.N

tuu abhii rahaguzar me.n hai qaid-e-makaam se guzar

tuu abhii rahaguzar me.n hai qaid-e-makaam se guzar Allama Iqbal
tuu abhii rahaguzar me.n hai qaid-e-makaam se guzar
misr-o-hijaaz se guzar, paares-o-shaam se guzar
[misr=Egypt; paares=Paris]
jis kaa amaal hai be-garaz, us kii jazaa kuchh aur hai
huur-o-Khayaam se guzar, baadaa-o-jaam se guzar
garche hai dil_kushaa bahot husn-e-firang kii bahaar
taayarek bula.nd baal daanaa-o-daam se guzar
koh shiGaaf terii zarab tujhase kushaad sharq-o-Garab
teze-hilaahal kii tarah aish-o-nayaam se guzar
teraa imaam be-huzuur, terii namaaz be-suruur
aisii namaz se guzar, aise imaam se guzar

zamii.n-o-aasmaa.N - mumkin hai ke tu jis ko samajhataa hai bahaaraa.N

Zamii.n-o-aasmaa.N
mumkin hai ke tu jisako samajhataa hai bahaaraa.N Allama Iqbal
mumkin hai ke tu jisako samajhataa hai bahaaraa.N
auro.n kii nigaaho.n me.n wo mausam ho Khizaa.N kaa
hai sil-silaa ehawaal kaa har lahajaa dagaraguu.N
ae saalek-rah fikr na kar suudo-zayaa.N kaa
shaayad ke zamii.N hai wo kisii aur jahaa.N kii
tuu jisako samajhataa hai falak apane jahaa.N kaa
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...