Tuesday, October 23, 2012

Qurbat bhi nahi dil say utar bhi nahi jata

Qurbat bhi nahi dil say utar bhi nahi jata,
wo shakhs koi faisla kar bhi nahi leta,
Ankhain hain kay khaali nahi rehti lahu say,
or zakhm e judai ha kay bhar bhi nahi jata
wo rahant e jaan ha magar is dar-badar main
aesa ha kay ab dheaan udhar bhi nahi jata,

Ham dohro azziyat se giraftaar musafir,
Paaun bhi hain shall shaoq e safar bhi nahi jaata,
dil ko teri chahat pe bharosa bhi bohot ha,
or tujh say bicharny ka dar bhi nahi jata,
pagal huay jata hoon Faraz us say milny ko,
itni si khushi ha kay koi mar bhi nahi jata,

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...