Welcome to the Urdu Poetry Archive! Urdu poetry is like a vast ocean. Walking along its shores on the sands of time, I have gathered a few gems that I would like to share with you.
Wednesday, October 31, 2012
Surmai Yaad – سرمٗی یاد
Surmai Yaad – سرمٗی یاد
*Sooni sooni, Khali khali Ik surmaee haweli mein Raag, Sitaar ne cherra hai Ik jalti mash’al leker Shab milne ko aaee hai Faanooson ki chan chan chan mein Jhilmil jhilmil chandni par Raqs hawa ka jaari hai Sookhi chanbeli ki ik beil Khasta sutoon se lipti hai Aur thirakti lau ka rung Leker laakhon nanhey deep Dil ke taaq pe jal uthay hain Aaee jaise…Tumhari yaad* — Naina
Add me on my face book page.
ReplyDeletehttps://www.facebook.com/FarzananainaOfficial/