Koi sargoshiyon se – کوئی سرگوشیوں سے
Koi Sargoshiyon se kyon boley
Meri khamoshiyon se kyon boley
Mein khizaan rang hon hamesha se
Jism khush’poshiyon se kyon boley
Dar O deewar tum bhi chup rehte
Maslehat’koshiyon se kyon boley
Sab ko ye fik’r hai sar e mehfil
Dil, tarab’joshiyon se kyon boley
Sona apni jagah pe sona hai
Khot zar’poshiyon se kyon boley
Hai ye behter hawaas kho jaein
Naina madhoshiyon se kyon boley
*Farzana Khan Naina*

https://farzana.wordpress.com/
ReplyDeleteYe sab mere blog se yahan copy kiya gaya hai aur wo bhi bagheir ijaazat.