Tuesday, October 23, 2012

Gair le.n mahafil me.n bose jaam ke

Gair le.n mahafil me.n bose jaam ke
Mirza Ghalib
Gair le.n mahafil me.n bose jaam ke
ham rahe.n yuu.N tashnaalab paiGaam ke
Khastagii ka tum se kyaa shikavaa ke ye
hathaka.nDe hai.n charKh-e-niilii faam ke
[Khastagii=injury/fatigue; shikavaa=complaint; hathaka.nDe=tactics]
[charKh=sky; niilii_faam=blue coloured]
Khat likhe.nge garche matalab kuchh na ho
ham to aashiq hai.n tumhaare naam ke
raat pii zam-zam pe may aur sub_h-dam
dho_e dhabbe jaamaa-e-eharaam ke
[zam-zam=a well in Kabaa whose water is considered holy;]
[sub_h-dam=at dawn; eharaam=dress for Haj]
dil ko aa.Nkho.n ne pha.Nsaayaa kyaa magar
ye bhii halqe hai.n tumhaare daam ke
[halqa=loop; daam=trap or net]
shaah ke hai Gusl-e-sehat kii Khabar
dekhiye din kab phire.n hammaam ke
[Gusl=bath, sehat=health, hammaam=bathroom]
ishq ne 'Ghalib' nikammaa kar diyaa
varnaa ham bhii aadamii the kaam ke

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...