Khushboon Se Kalaam – خوشبوؤں سے کلام
Khushbo’on se kalaam mat kerna
Shehr mein dekh shaam mat kerna
Shehr mein dekh shaam mat kerna
Titliyaan, Phool, Khwab, Khushboo tum
Ab kabhi mere naam mat kerna
Ab kabhi mere naam mat kerna
Apne aanchal mein rang bharti raho
Ye riyazat tamaam mat kerna
Ye riyazat tamaam mat kerna
Aanso’on ki shafaq hai aankhon mein
Is ki tash’heer aam mat kerna
Is ki tash’heer aam mat kerna
Mere eizaaz mein kisi ke ghar
Shaam ka eh’tamaam mat kerna
Shaam ka eh’tamaam mat kerna
Hurmat’e'dil ka jo na ho qaa’il
Us ke ghar mein qayaam mat kerna
Us ke ghar mein qayaam mat kerna
Sang phein’kein jo Sheesha’e'dil per
Un ka tum ehtaraam mat kerna
Un ka tum ehtaraam mat kerna
Phone par tum milay ho mushkil se
Guftgoo ko tamaam mat kerna
Guftgoo ko tamaam mat kerna
Larrkharra jaey gi zubaan Naina
Us se hargiz kalaam mat kerna
Us se hargiz kalaam mat kerna
Kya khoob.
ReplyDeletehttps://farzana.wordpress.com/
ReplyDeleteYe sab mere blog se yahan copy kiya gaya hai aur wo bhi bagheir ijaazat.