Wednesday, October 31, 2012

Sondhi Khushboo – سوندھی خوشبو

Sondhi Khushboo – سوندھی خوشبو

sondhi-khushbo-wordpress
Sondhi Khushboo
Sondhi mit’ti ki ye surahi
Qatra qatra goonj rahi hai
Bheegi bheegi shabnum ki
Rim jhim kerti jhanka’aron se
Jab bhi koi pyass bujhane
Oak mein paani bharta hai
Jaane kaise chori chori
Paar samunder kerta hai
Sondhi sondhi khushboo
Us ki rooh ke paar uter’ti hai
Door, bohut hi door …..
Jazeeron mein jo taare girtay hain
Un ki yaad mein pag’dandi par
Subuk’rawi se chalti hai
Dhoop , cha’aon mein saal maheene
Panchi ban ker ur’rtay hain
Aankh puronay lagti hai
Kuch nithray lamhey surahi se
Peene waley mein titli ke par
Khud se ugg aatey hain
Neele paani ki thandak se
Aankhein, mundnay lagti hain
Dil kehta hai …
Qatron ki un la’awaris aawaazon ko
Kaanch ke darya ki teh mein
Ik Dobnay wali kashti par
Phir se bitha ker
Door, usi sahil tak jaa ker pohncha’yein
Jis ki reit ki sondhi khushboo
Sab ko pagal kerti hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...