Thursday, October 25, 2012

Mile Gi – ملے گی

Mile Gi – ملے گی

Miley gi meri nhi koi nishani cheezon mein
Parri hui hon kahein mein purani cheezon mein

 

Mere wujood se qaim hain baam o dar mere
Simat rahi hai meri laa’makani cheezon mein

Lapak raha hai meri simt nuqraee baazaar
Machal rahi hai meri shaadmaani cheezon mein

Ye khush’numai lahoo ke eiwaz khareedi hai
Ghula hua hai nigahon ka pani cheezon mein

Bahisht se hi mein aayee zameen par lekin
Shumaar mera nahein aasmaani cheezon mein

Ye jaante huey koi wafa’shanaas nahein
Baser hui hai meri zindagaani cheezon mein

Wo aur hoti hain jo toot’ti nahein shayad
Likha gaya hai mujhey aani jaani cheezon mein

Phir aaya bhoola hua khwaab, raat naina mein
Likhi hui thi purani kahani cheezon mein

 

1 comment:

  1. https://farzana.wordpress.com/
    Ye sab mere blog se yahan copy kiya gaya hai aur wo bhi bagheir ijaazat.

    ReplyDelete

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...