Mein Choti Si – میں چھوٹی سی لڑکی


Mein Choti si larrki bohut hi barri hon
Ke har jang apni akeli larri hon
Khalaa se mujhey aa rahi hain sadayein
Magar mein tau pichli sadi mein jarri hon
Mili hain mujhey lehza lehza ki khabrein
Kisi ki Kalai ki shayad gharri hon
Badan ki chattanon pe kaa’ee jami hai
Ke sadiyon se sahil pe tanha kharri hon
Hawa ke waraq par likhi Ik ghazal thi
Khizaan aaee tau shaakh se gir parri hon
Mein ik gosha’e aafiyat se nikal ker
Wo paglee hon dunya se phir larr parri hon
Wo kerta hai Nainan mein basne ki baatein
Magar mein tau apni hi zid mein parri hon

https://farzana.wordpress.com/
ReplyDeleteYe sab mere blog se yahan copy kiya gaya hai aur wo bhi bagheir ijaazat.