Tuesday, November 20, 2012

ham par tumhaarii chaah kaa ilzaam hii to hai

ham par tumhaarii chaah kaa ilzaam hii to hai
Faiz Ahmed Faiz
ham par tumhaarii chaah kaa ilzaam hii to hai
dushnaam to nahii.n hai ye ikaraam hii to hai
karate hai.n jis pe taa'n, koii jurm to nahii.n
shauq-e-fuzuul-o-ulfat-e-nakaam hii to hai
[taa'n=satire]
dil muddaii ke harf-e-malaamat se shaad hai
ae jaan-e-jaa.N ye harf teraa naam hii to hai
[harf-e-malaamat=word of criticism]
dil naa-ummiid to nahii.n, na-kaam hii to hai
lambii hai Gam kii shaam, magar shaam hii to hai
dast-e-falak me.n, gardish-e-taqadiir to nahii.n
dast-e-falak me.n, gardish-e-ayyaam hii to hai
aaKhir to ek roz karegii nazar wafaa
wo yaar-e-Khush_Khasaal sar-e-baam hii to hai
[Khush_Khasaal=virtuous]
bhiigii hai raat 'Faiz' Gazal ibtidaa karo
waqt-e-sarod dard kaa ha.ngaam hii to hai
Montogomery Jail
9th March, 1954

ham ke Thahare ajanabii itane madaaraato.n ke baad

ham ke Thahare ajanabii itane madaaraato.n ke baad
Faiz Ahmed Faiz
ham ke Thahare ajanabii itane madaaraato.n ke baad
phir bane.nge aashnaa kitanii mulaaqaato.n ke baad
[madaaraato.n=hospitality]
kab nazar me.n aayegii bedaaG sabze kii bahaar
Khuun ke dhabbe dhule.nge kitanii barasaato.n ke baad
dil to chaahaa par shikast-e-dil ne mohalat hii na dii
kuchh gile-shikave bhii kar lete munaajaato.n ke baad
[munaajaato.n=prayers]
the bahut bedard lamhe.n Khatm-e-dard-e-ishq ke
thii.n bahut bemahar subahe.n meharabaa.N raato.n ke baad
un se jo kahane gaye the "Faiz" jaa.N sadaqaa kiye
anakahii hii rah ga_ii vo bat sab baato.n ke baad

gulo.n me.n rang bhare, baad-e-naubahaar chale

gulo.n me.n rang bhare, baad-e-naubahaar chale
Faiz Ahmed Faiz
gulo.n me.n rang bhare, baad-e-naubahaar chale
chale bhii aao ki gulshan kaa karobaar chale
qaffas udaas hai yaro, sabaa se kuchh to kaho
kahii.n to bahr-e-Khudaa aaj zikr-e-yaar chale
kabhii to subh tere kunj-e-lab se ho aaGaaz
kabhii to shab sar-e-kaakul se mushkabaar chale
ba.Daa hai dard kaa rishtaa, ye dil Gariib sahii
tumhaare naam pe aaye.nge Gam_gusaar chale
jo ham pe guzarii so guzarii magar shab-e-hijraa.N
hamaare ashk terii aaqabat sa.Nwaar chale
huzoor-e-yaar huii daftar-e-junuu.N kii talab
girah me.n leke garebaa.N kaa taar taar chale
maqaam 'Faiz' koii raah me.n jachaa hii nahii.n
jo kuu-e-yaar se nikale to suu-e-daar chale
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...