Welcome to the Urdu Poetry Archive! Urdu poetry is like a vast ocean. Walking along its shores on the sands of time, I have gathered a few gems that I would like to share with you.
Wednesday, October 31, 2012
Sondhi Khushboo – سوندھی خوشبو
Sondhi Khushboo – سوندھی خوشبو
Sondhi Khushboo
Sondhi mit’ti ki ye surahi
Qatra qatra goonj rahi hai
Bheegi bheegi shabnum ki
Rim jhim kerti jhanka’aron se
Jab bhi koi pyass bujhane
Oak mein paani bharta hai
Jaane kaise chori chori
Paar samunder kerta hai
Sondhi sondhi khushboo
Us ki rooh ke paar uter’ti hai
Door, bohut hi door …..
Jazeeron mein jo taare girtay hain
Un ki yaad mein pag’dandi par
Subuk’rawi se chalti hai
Dhoop , cha’aon mein saal maheene
Panchi ban ker ur’rtay hain
Aankh puronay lagti hai
Kuch nithray lamhey surahi se
Peene waley mein titli ke par
Khud se ugg aatey hain
Neele paani ki thandak se
Aankhein, mundnay lagti hain
Dil kehta hai …
Qatron ki un la’awaris aawaazon ko
Kaanch ke darya ki teh mein
Ik Dobnay wali kashti par
Phir se bitha ker
Door, usi sahil tak jaa ker pohncha’yein
Jis ki reit ki sondhi khushboo
Sab ko pagal kerti hai
Qatra qatra goonj rahi hai
Bheegi bheegi shabnum ki
Rim jhim kerti jhanka’aron se
Jab bhi koi pyass bujhane
Oak mein paani bharta hai
Jaane kaise chori chori
Paar samunder kerta hai
Sondhi sondhi khushboo
Us ki rooh ke paar uter’ti hai
Door, bohut hi door …..
Jazeeron mein jo taare girtay hain
Un ki yaad mein pag’dandi par
Subuk’rawi se chalti hai
Dhoop , cha’aon mein saal maheene
Panchi ban ker ur’rtay hain
Aankh puronay lagti hai
Kuch nithray lamhey surahi se
Peene waley mein titli ke par
Khud se ugg aatey hain
Neele paani ki thandak se
Aankhein, mundnay lagti hain
Dil kehta hai …
Qatron ki un la’awaris aawaazon ko
Kaanch ke darya ki teh mein
Ik Dobnay wali kashti par
Phir se bitha ker
Door, usi sahil tak jaa ker pohncha’yein
Jis ki reit ki sondhi khushboo
Sab ko pagal kerti hai
Raat – رات ۔ ۔ ۔
Raat – رات ۔ ۔ ۔
Wo tau resham sa koi khwab tha
وہ تو ریشم سا کوئی خواب تھا
Bunn rakha tha in aankhon ne
بن رکھا تھا ان آنکھوں نے
Roshni mein tau bohut saaf nazar aata tha
روشنی میں تو بہت صاف نظر آتا تھا
Jhilmilati hui baaton se gundha har manzar
جھلملاتی ہوئی باتوں سے گندھا ہر منظر
Jo sitaron mein tere aks ko rakh jata tha
جو ستاروں میں ترے عکس کو رکھ جاتا تھا
Lekin aisa hai ke jab lamha judai ka gira
لیکن ایسا ہے کہ جب لمحہ جدائی کا گرا
Khwab-dar-khwab mittey saare sitaron se naqoosh
خواب در خواب مٹے سارے ستاروں کے نقوش
Surkh pholon ne tau chaha ke lahoo dein apna
سرخ پھولوں نے تو چاہا کہ لہو دیں اپنا
Saans, chalne ke liye jism ki khwahish oorhey
سانس، چلنے کے لیئے جسم کی خواہش اوڑھے
Saanp tha dass ke lakeer apni magar chorr gaya
سانپ تھا ڈس کے لکیر اپنی مگر چھوڑ گیا
Ab hai ik chaand jo bas dor nazar aata hai
اب ہے اک چاند جو بس دور نظر آتا ہے
Aur hai RAAT,Jo aankhon mein chubbha kerti hai….!
اور ہے رات ۔ ۔ ۔ جو آنکھوں میں چبھا کرتی ہے !۔
نیناں
Subscribe to:
Posts (Atom)