Thursday, December 13, 2012

ye kis Khalish ne phir is dil me.n aashiyaanaa kiyaa

ye kis Khalish ne phir is dil me.n aashiyaanaa kiyaa
Faiz Ahmed Faiz 


ye kis Khalish ne phir is dil me.n aashiyaanaa kiyaa
phir aaj kis ne suKhan ham se Gaayebaanaa kiyaa
[Gaayebaanaa=hidden/invisible]Gam-e-jahaa.N ho, ruKh-e-yaar ho ke dast-e-uduu
salook jis se kiyaa hamane aashiqaanaa kiyaa[dast-e-uduu=enemy's hands]the Khaak-e-raah bhii ham log qahar-e-tuufaa.N bhii
sahaa to kyaa na sahaa aur kiyaa to kyaa na kiyaa[qahar-e-tuufaa.N=storm's fury]Khushaa ke aaj har ik mudda_ii ke lab par hai
vo raaz jis ne hame.n raa.Nd-e-zamaanaa kiyaa[Khushaa=matter of joy; mudda_ii=plaintiff]
[raa.Nd-e-zamaanaa=society's outcast]vo hiilaagar jo vafaajuu bhii hai jafaaKhuu bhii
kiyaa bhii "Faiz" to kis but se dostaanaa kiyaa[hiilaagar=one who makes excuses; vafaajuu=faithful (in love)]
[jafaaKhuu=unfaithful by habit]

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...