Wednesday, October 31, 2012

Tootay Par Chiryaan – ٹوٹے پر چڑیاں

Tootay Par Chiryaan – ٹوٹے پر چڑیاں

i-dream-of.gif

Darakhton sey harey pat’tey hawa kyon nooch leti hai !

Wo In chirryon ke totey par kahan par beich deti hai !

Inhein jo mol koi ley

Dukhon se tol koi ley

agar dil mein ye chubh jayein

Tau gehre naqsh khub jayein

Agar hum waqt se chup kar kahin be’waqt ho jayein

Aur in chirryon ki surat

Wuqa’at apni hum bhi kho jayein

Tau kya phir bhi lagataar aise san’naton ki gehri dhol

Yahan urr urr kar aaye gi !

Tau kya phir sokhi sokhi tehniyon ki kokh mein

Ghamnaak saanson ko

wohi biptaa sunaey gi !

Harey pat’ton ki har konpal

Jo apni khushk aankhon mein

Namee ke phool chunti hai

Tapak ker boond ki man’nind rishtey torr jaey gi

Hum apni siskiyaan chal kar

Kisi khandaq ki gehrai mein

Jaa ker dafn ker aayein

Hawa ke teiz nakhun bhi tarash aayein

Tau phir in tot’tey par chirryon ko bhi

Parwaaz aayey gi

Hamari be sada baaton mein bhi

Aawaaz aayey gi !!!

******

Tau – تو

Tau – تو


n-5.gifa-5.gifi-5.gifn-5.gifa-5.gifi-dream-of.gifTau Nazm

Surmai Yaad – سرمٗی یاد

Surmai Yaad – سرمٗی یاد

*Sooni sooni, Khali khali
Ik surmaee haweli mein
Raag, Sitaar ne cherra hai
Ik jalti mash’al leker
Shab milne ko aaee hai
Faanooson ki chan chan chan mein
Jhilmil jhilmil chandni par
Raqs hawa ka jaari hai
Sookhi chanbeli ki ik beil
Khasta sutoon se lipti hai
Aur thirakti lau ka rung
Leker laakhon nanhey deep
Dil ke taaq pe jal uthay hain
Aaee jaise…Tumhari yaad*
— Naina

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...