Tuesday, December 18, 2012

Ab aaye.n yaa na aaye.n

Ab aaye.n yaa na aaye.n
ab aaye.n yaa na aaye.n idhar puuchhate chalo
kyaa chaahatii hai un kii nazar puuchhate chalo
ham se agar hai tark-e-ta'alluq to kyaa huaa
yaaro ko_ii to un kii Khbabar puuchhate chalo
jo Khud ko kah rahe hai.n ki ma.nzil shanaas hai.n
un ko bhii kyaa Khabar hai magar puuchhate chalo
kis ma.nzil-e-muraad kii jaanib ravaa.N hai.n ham
ai rah-ravaan-e-Khaak-ba-sar puuchhate chalo

aao ki ko_ii Khvaab bune.n

aao ki ko_ii Khvaab bune.n
aao ki ko_ii Khvaab bune.n kal ke vaaste
varanaa ye raat aaj ke sangiin daur kii
Das legii jaan-o-dil ko kuchh aise ki jaan-o-dil
taa-umr phir na ko_ii hasii.n Khvaab bun sake.n

[bunanaa = to weave; sangiin daur = hard/difficult times]
[Das lenaa = to bite; taa-umr = entire life]

go ham se bhaagatii rahii ye tez-gaam umr
Khvaabo.n ke aasare pe kaTii hai tamaam umr

[tez-gaam = fleet-footed]

zulfo.n ke Khvaab, ho.nTho.n ke Khvaab, aur badan ke Khvaab
meraaj-e-fan ke Khvaab, kamaal-e-suKhan ke Khvaab

[meraaj-e-fan = (to reach) summit of art; kamaal-e-suKhan = perfection in poetry]

tahaziib-e-zindagii ke, faroG-e-vatan ke Khvaab
zindaa.N ke Khvaab, kuuchaa-e-daar-o-rasan ke Khvaab

[tahaziib-e-zindagii = civilized life; faroG-e-vatan = nation's progress/upliftment]
[zindaa.N = prison; kuuchaa-e-daar-o-rasan = road leading to the gallows]

ye Khvaab hii to apanii javaanii ke paas the
ye Khvaab hii to apane amal ke asaas the
ye Khvaab mar gaye hai.n to be-rang hai hayaat
yuu.N hai ki jaise dast-e-tah-e-sang hai hayaat

[amal = work; asaas = foundation; hayaat = life]
[dast-e-tah-e-sang = hands crushed under a stone (helpless)]

aao ki ko_ii Khvaab bune.n kal ke vaaste
varanaa ye raat aaj ke sangiin daur kii
Das legii jaan-o-dil ko kuchh aise ki jaan-o-dil
taa-umr phir na ko_ii hasii.n Khvaab bun sake.n

Monday, December 17, 2012

shahar me.n Dhuu.ND rahaa huu.N ke sahaaraa de de

shahar me.n Dhuu.ND rahaa huu.N ke sahaaraa de de
shahar me.n Dhuu.ND rahaa huu.N ke sahaaraa de de
ko_ii haatim jo mere haath me.n kaasaa de de

pe.D sab nange faqiiro.n kii tarah sahame hai.n
kis se ummiid ye kii jaaye ki saayaa de de

vaqt kii sang_zanii noch ga_ii saare naqush
ab vo aa_iinaa kahaa.N jo meraa cheharaa de de

dushmano.n kii bhii ko_ii baat to sach ho jaaye
aa mere dost kisii din mujhe dhokaa de de

mai.n bahut jald hii ghar lauT ke aa jaa_uu.Ngaa
merii tanhaa_ii yahaa.N kuchh dino.n peharaa de de

Duub jaanaa hii muqadar hai to behatar varanaa
tuune patavaar jo chhiinii hai to tinkaa de de

jis ne qataro.n kaa bhii mohataaj kiyaa mujh ko
vo agar josh me.n aa jaaye to dariyaa de de

tum ko "Rahat" kii tabiiyat kaa nahii.n andaazaa
vo bikhaarii hai magar maa.Ngo to duniyaa de de
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...