Thursday, April 18, 2013

mushkil hai ab shahar me.n nikale ko_ii ghar se

mushkil hai ab shahar me.n nikale ko_ii ghar se


mushkil hai ab shahar me.n nikale ko_ii ghar se
dastaar pe baat aa ga_ii hai hotii hu_ii sar se

barasaa bhii to kis dasht ke be-faiz badan par
ik umr mere khet the jis abr ko tarase

is baar jo indhan ke liye kaT ke giraa hai
chi.Diyo.n ko ba.Daa pyaar thaa us buu.Dhe shajar se

mehanat merii aa.Ndhii se to manasuub nahii.n thii
rahanaa thaa ko_ii rabt shajar kaa bhii samar se

Khud apane se milane kaa to yaaraa na thaa mujh me.n
mai.n bhii.D me.n gum ho ga_ii tanhaa_ii ke Dar se

benaam musaafat hii muqaddar hai to kyaa Gam
manzil kaa ta'yyun kabhii hotaa hai safar se

pattharaayaa hai dil yuu.N ki ko_ii ism pa.Dhaa jaaye
ye shahar nikalataa nahii.n jaaduu ke asar se

nikale hai.n to raste me.n kahii.n shaam bhii hogii
suuraj bhii magar aayegaa is raah-guzar se

tum merii aa.Nkh ke tevar na bhulaa paaoge

tum merii aa.Nkh ke tevar na bhulaa paaoge



tum merii aa.Nkh ke tevar na bhulaa paaoge 
ankahii baat ko samajhoge to yaad aa_uu.Ngaa 

ham ne Khushiyo.n kii tarah dukh bhii ikaTThe dekhe 
safaah-e-ziist ko palaToge to yaad aa_uu.Ngaa 

isii andaaz me.n hote the muKhaatib mujh se 
Khat kisii aur ko likhoge to yaad aa_uu.Ngaa 

sard raato.n ke mahakate hue sannaaTo.n me.n 
jab kisii phuul ko chuumoge to yaad aa_uu.Ngaa 

ab tere ashk mai.n ho.nTho.n se churaa letaa huu.N 
haath se Khud inhe.n po.nchhoge to yaad aa_uu.Ngaa 

shaal pahanaayegaa ab kaun disambar me.n tumhe.n 
baarisho.n me.n kabhii bhiigoge to yaad aa_uu.Ngaa 

aaj tum mahafil-e-yaaraa.N pe ho maGaruur bahut 
jab kabhii TuuT ke bikharoge to yaad aa_uu.Ngaa 

haadase aaye.nge jiivan me.n to tum hoke niDhaal 
kisii diivaar ko thaamoge to yaad aa_uu.Ngaa 

is me.n shaamil hai merii baKht kii taariikii bhii 
tum siyaah rang jo pahanoge to yaad aa_uu.Ngaa

kaash mai.n tere hasiin haath kaa kangan hotaa

kaash mai.n tere hasiin haath kaa kangan hotaa


kaash mai.n tere hasiin haath kaa kangan hotaa 

tuu ba.De pyaar se ba.De chaao se ba.De aramaan ke saath 
apanii naazuk sii kalaa_ii me.n cha.Dhaatii mujh ko 
aur betaabii se furqat ke Khizaa.N lamho.n me.n 
tuu kisii soch me.n Duubii jo ghumaatii mujh ko 
mai.n tere haath kii Khushbuu se mahak saa jaataa 
jab kabhii muuD me.n aa kar mujhe chuumaa karatii 
tere ho.nTho.n kii shiddat se mai.n dahak saa jaataa 

raat ko jab bhii tuu niindo.n ke safar par jaatii 
marmarii haath kaa ik takiyaa banaayaa karatii 
mai.n tere kaan se lag kar ka_ii baate.n karataa 
terii zulfo.n ko tere gaal ko chuumaa karataa 
jab bhii tuu band qabaa kholane lagatii jaanaa.N 
apanii aa.Nkho.n ko tere husn se kheraa karataa 
mujh ko betaab saa rakhataa terii chaahat kaa nashaa 
mai.n terii ruuh ke gulashan me.n mahakataa rahataa 
mai.n tere jism ke aa.Ngan me.n khanakataa rahataa 
kuchh nahii.n to yahii benaam saa bandhan hotaa 

kaash mai.n tere hasiin haath kaa kangan hotaa 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...