Showing posts with label Nazm. Show all posts
Showing posts with label Nazm. Show all posts

Tuesday, October 23, 2012

Jab Bhi

Jab Bhi – جب بھی خوشبو سا

Jab Bhi khushboo sa mere dil ne bikharna chaha
Rang Phoolon ne mere khoon mein bharna chaha
Rah mein soch ki deewar uthaa di usne
Uljhanon se jo kabhi meine guzarna chaha
Meri taqdeer se wo baab’e'asar band mila
Jab dua’on ke parindon ne uterna chaha
Chal diya saath hi mere teri yaadon ka hujoom
Rah se zeest ki tanha jo guzarna chaha
Jaal phela diye kya kya mere andeshon ne
Jab bhi lamhaat ki mojon mein uterna chaha
Bheer panghat pe chali saath mere khwabon ki
Pyaase Naina ko wahan ja ke jo bharna chaha

Dhoop Ger Na

MyHotComments.com

 

ROMANTIC POETRY BY FARZANA NAINA

THIKANA CHAHTI HOON – ROMANTIC POETRY BY FARZANA NAINA

Aasman Ke Rangon

Aasman Ke Rangon – آسماں کے رنگوں میں

be-happy.jpg
book-135.gif


aasman-ke-rangon-mein-wordpress

³Aasman ke rangon mein rang hai sha-habi sa
Dhiyaan mein hai phir chehra eik mah-tabi sa
Phir hawa chali shayad bhole bisre khwabon ki
Dil mein utth raha hai kuch shoq aztarabi sa
Tum ajeeb qatil ho, rooh qatal kerta ho
Daaghte ho phir maatha chaand ki rakabi sa
Harf pyar kw saare aa gaye thay aankhon mein
Jab liya tha haathon mein chehra wo kitabi sa
Kaum keh gaya hai maut tootney se aa-ti hai
Phool ne bikher ke baagh ker diya gulabi sa
Manzaron ne kirnon ka perahan jo pehna hai
Meine us ka rakha hai naam aaf-tabi sa
Boond boond hoti hai rang-o-noor ki barkha
Jab se mausam aaya hai naina mein sharabi sa
******************

Aadhi Raat

Aadhi Raat – آدھی رات کے سپنے



i-dream-of.gif

Aadhi raat ke sapne shayad jhote thay

Ya phir pehli baar sitare totey thay

Jis din sheher se bhaag ke sheher mein pohnchi thi

bhaag bhari ke bhaag usi din phoote thay

Mazhab ki bunyaad pe kya taqseem hui

Hamsayon ne hamsaye hi loote thay

Shokh nazar ki chutki ne nuqsaan kiya

Haathon se chaey ke bertan tote thay

Oorrh ke phirti thi jo naina saree raat

Us resham ki shaal pe yaad ke boote thay

girl-book.gif

Kab tum....!

Farzana Naina Urdu Poetry


Kab tum....!



Pather ki Larki-Pagli




Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...